Sunday, 21 September 2014



                    UMEED-E-NOO


     Is mulk k bani mohtaram Quaid-e-azam muhammad ali jinnah ne is mulk ko azad karwane k liye behad jadojehad ki kyun ke in ka maqsad musalman qoam ko azad karwana tha. Aik aesa mulk dayna tha jis mein har sakhs ko mazhabi aur dunyawi azadi hasil ho aur wo apni pasand ke mutabiq aur islami rawayat ko apna kar aik behtar zindagi guzar sakhein. Aaj hum jis Pakistan mein reh rahe hain yahan logon ko wo huqooq hasil nahi hain jis ka khuwab hamare Quaid ne dekha tha. Isi maqsad k husool k liye awam ka aik numainda khas tor pe awam k liye khara hua aur awam k huqooq k liye awaz buland ki. Jis ki ibtida long march ki soorat mein 14 august 2014 se hui. 

          Imran khan k azadi march ka maqsad aik aese Pakistan ka husool hai jahan loog izzat ki zindagi basar kar sakain. Ghurbat aur berozgari k shikar loog 2 waqt ki roti kha sakain. Apne huqooq ke liye awaz buland kar sakain kyun ke aaj kal ke dour mein har shakhs dosre se laparwah hai, aagey barhne ki dour mein laga hua hai, hukmaran apni jaidad banane mein lage hue hain inhe awam se koi sarokar nahi aur isi tarah awam pissi chali jarahi hai.Imran khan saari awam ki mushkilat hal karne k liye nukle hai lekin in k saath  awam bhi hai aur kuch aese loog bhi hai jo in par tanqeed bhi kar rahe hai kyunke inhone na kabhi awam ki khidmat ki hai aur na hi inka koi irada hai. Inka maqsad sirf awam ke paiso pe sirf ayashiyan karna hai. Tamqam hukmaran azadi march ko nakaam banane mein lage hue hain.

 

         Azadi march se na umeed logon mein aik naya josh aur jazba paida hua hai. Unhe aik nae umeed ki kiran nazar ae hai. Unhe is baat ka ehsas hai ke koi toh hai jo aesi awam ki awaz bana aur jo unko mushkilo se nikale ga. Loog pur umeed hai ke ane wala kal un k liye aik nae subh le kar aega aur tamam logon ko haqeeqi azadi hasil hogi.

No comments:

Post a Comment