Thursday, 25 September 2014

                                            

CIVIL NAFARMANI

 Guzishta mahiney Imran khan ne mojuda hukamat se chutkara pany k lye civil nafarmani ka elaan kiya aur apny karkoono ko bhe civil nafarmani ki hidayat ki. Un k is bayan se mohab e watan Pakistani ko sadmey se dochar krdya hai. Apni taqreer main unhon ney awam per zor diya hai k jab tk wazire azam istafa nae dety awam civil nafarmani ki mehum shuru kren.


 
Sawal ye paida hota hai k kya Pakistani qoum ya Pakistani maeshiat civil nafamani se honay waly nuksanat bardasht kar sakty hain ya nae??? Agr hum maishat per nazar dalain to pata chalta hai k Pakistan main kul mehsolat ka takreban 75% bilawasta mehsolat key amar main ikhata kia jata hai jis ki ek misaal SALES TAX hai. Civil nafarmani ka matlab hai k hmain apni zaroriyat-e-zindagi maslan: ashiya khur-da-nosh, mareezon ki istamaal ki ashiyan, petrol, diesel, cng wagera ko tark karna paray ga aur pathar k zamany ki zindagi, bimari aur faqa kasha ikhtiyar krni parygi. Sirf ye he nhi Pakistan main nokri pasha afraad jo ba-mushkil 30,000 kamaty hain, or bari mushkil sy zindagi basr kr rhy hain un saray afraad ka civil nafarmani k hukum ki takmeel krny ka matlab hai k un sub ko apni nokriyan daoo per lagani parain geen. Kya waqai Pakistani awam ye risk ya ye qurbani dyny k lye tayar hai?
                            


Ab karoobari  logon ki baat krty hain. Agar karoobar krny waly hazrat civil nafarmani ki tehreek ka hisa ban jain, agr wo karoobar band krlain, gharoon main jakr beht jain to kya inhain khan sahab mahana ikhrajat dain gain? Kea mahana rashan ya digar ashiya faraham krain gain?????
Agr awam is tehreek ka hisa ban kr, bijli ka bill ada na kr k andhery main zindagi guzarnay k lye tayar hain? Ab to pani per b tax ada krna parta hai to kea awam pani k bagair zinda rehny k lye tayar hain???  Hr giz nhiiii.....Pakistan ki awam aur na hi Pakistan ki moeshiyat civil nafarmani ka soch bhe nhi sakti q k aj b hum is qabil nhi k ye takleefain bardasht krain aur is tehreek ka hisa banain. Pakistan main jahan pehly he logoon ka INCOME TAX ki adaigi key mamlay main record kch behtar nhi assay main civil nafarmanai kerna moeshat ki tabahi key mutaradif hai.
            Mery khayal main Imran Khan ko apny is faislay per nazar sani krni chehye bilky mera unko ye mashwara hai k agr is hukumat sy awam ko chutkara dilwany hai to unhain civil nafarmani ki tehreek sy zayada DJ BUTT ka sikka azmana chahye.
Kiun k jis tarah guzrishta dinno main hukumat DJ BUTT k ganno sy bhokhlahat ka shikar hui, jis tarha usy jail main daal dia gaya us sy to asa lgta hai k Imran khan ko apny dharnay main 4-5 aur DJ BUTT ka bandobast krna chehye phr shyd awam ko is hukumat sy chutkara panay main 24 ghantay bhe na lagain...

No comments:

Post a Comment