Tuesday, 25 November 2014

Aik Naya Rujhan


Aik Naya Rujhan



Pakistan main neji channals ke aaghaz k bad agarcha awam k masail ki dad rasi zaror hoi hai lekin is k sath sath buhat se mushkilat bhi peda ho gai hai. aik masla khabar or us k mutaliq muzakrat or dosra wo culture jo k channels par majmoie tor par promote kia ja raha hai. Aik aamir ki policy ne khawateen ko sar par dopatta rakhne ka paband kia to dosre aamir ki policy ki bina par khawateen paints or baghair asteen k t-shirts pehan  kar aane lagi. Agarcha baaz muzakrati programmes main in masail se mutaliq shaor or idrak bhi samne aaya or sahafio ne is par baat bhi ki lekin besood hi raha. Aik masla khabar dene ka hai k haqaiq jane baghair os soorat-e-hal ki namukammil maloomat par koi khabar nashar kar dene ka rujhan bhi samne aaya hai us ki aik missal Saddam Hussain k phansi k manazir channals ne dikhane shru kardye jis k nateje main buhat se mumalik main ye waqieat report hoye k bacho ne is manzar ko naqal karne ki koshish ki or jan se hath dho bethe or kuch ne dilbardashta ho ker khudkushi Karli. kia in waqieat ka zimmedar media ko banaya ja sakta hai?

Dosra masla rating ka hai aik program main tamam muqarrer aik sath bol rahe hote  hai koi kisi ki baat sunne ko tayyar nahi hota aise moqe par tamam logo k mic sewae mezban k off kyou nahi kar dye jate? Kyou k sirf rating aise hi programmes ki aati hai kyou k sanjeeda programme ko daikhne wale buhat kam hai lehaza un ki ratting bhi kam hai.

News main aik naya tarka background music ka bhi hai. Koi mar jaye ya chahe us ko saza mile music ka istemal kye baghair wo khabar pori nahi hoti. Gullo but ko 11 saal ki saza mili is baat ko bhi music k sath pesh kia gaya yah tak k Lahor main 1 bus hades ka shikar ho gayi jis mian kayi talbaat jan bahaq hoi. Kuch dino baadjab school khula to 1 naji TV channel ne is ki coverage ki pase manzar main music chaalana shru kr dia. Music film main acha lagta hai jaha wo haqiqat main rung bhar raha hota hai lekin jahan almia khud bol raha ho waha music ki kia zarorat hai?



Aik or rujhan khabro main barhta ja raha hai jese k shoaib or sania ki shadi us k baad ki rasmain phir us k baad ki masroofiat breaking news ban gaye hai,kisi actor ka scandal ho, birthday ho ya personal info ye sari baatain Fazooliat k darje par faiz hai. Sansani khaizi par mushtamil programme bhi aik naya rujhan hai. Jurm par mabni dramai tashkeel jin ko haqeeqat bana kar pesh kia jata hai jese Crime Patrol waghera is tarha k programmes darasal channels ka masala zaror hai lekin is se lago ko jurm karne k tareqee mil jate hai or in main buhat se programmes ka taeluq haqeeqat se nahi hota. Pora play aik hi raat main shot kia jata hai take dosre din us ko nashar kia jasake. Aisi soorat main quality ki kami to zaroor ho gi.




Aik or rujhan morning Shows hai. Har channel subah k shows k lye reserve rehta hai jis main tarha tarha k jaded malboosat se le kar decoration ki har cheez aala se aala majood hoti hai jis se na sirf logo main ahsas-kamtari barhta hai balke us ko hasil karne ki dhun main naye naye jurm samne aate ja rahe hai or un jaraim ko kis tarha amli jamma pehnaya  jaye is baat ko bh farogh dia ja raha hai. Aaj ho ye rah hai k jo baatain media news k zarye nahi bata sakta us ko dramo ki shakal main pesh kia ja raha hai. Us ki 1 misal drama “qussusi sahib ki bewah” hai jahan na hi alfazo ko hazaf kia jata hai or na is baat ka khal kia jata hai k hum apni qoom ko kia msg deliver kar rahe hai. Aisi tarha or bhi buhat se drame k jin main ikhlaqi hado ko parr kar lia gaya lekin bechare pemra ne us ka notice hi nia kia. shayad ye programmes un ki nazroo se na guzre ho. Agar drama industry par aik tanqedi nigah dale to ye ahsas har shaks k dil main zaror bedar hoga k hum buhat aage aachuke hain jaha se wapsi na mumkin hai is lye drama ho ya news ya phir ishteharkari  kisi had tak zabta-e-ikhlaq ki pasdari buhat zarori hai.

No comments:

Post a Comment